qadam  uThe  to  galī  se  galī  nikaltī  rahī
nazar  diye  kī  tarah  chaukhaToñ  pe  jaltī  rahī
kuchh  aisī  tez  na  thī  us  ke  intizār  kī  aañch
ye  zindagī  hī  mirī  barf  thī  pighaltī  rahī
saroñ  ke  phuul  sar-e-nok-e-neza  hañste  rahe
ye  fasl  sūkhī  huī  Tahniyoñ  pe  phaltī  rahī
hatheliyoñ  ne  bachāyā  bahut  charāġhoñ  ko
magar  havā  hī  ajab  zāviye  badaltī  rahī
dayār-e-dil  meñ  kabhī  sub.h  kā  gajar  na  bajā
bas  ek  dard  kī  shab  saarī  umr  Dhaltī  rahī
maiñ  apne  vaqt  se  aage  nikal  gayā  hotā
magar  zamīñ  bhī  mire  saath  saath  chaltī  rahī