sarhadeñ  achchhī  ki  sarhad  pe  na  ruknā  achchhā
sochiye  aadmī  achchhā  ki  parinda  achchhā
aaj  tak  haiñ  usī  kūche  meñ  nigāheñ  ābād
sūrateñ  achchhī  charāġh  achchhe  darīcha  achchhā
ek  chullū  se  bhare  ghar  kā  bhalā  kyā  hogā
ham  ko  bhī  nahr  se  pyāsā  palaT  aanā  achchhā
phuul  chehroñ  se  bhī  pyāre  to  nahīñ  haiñ  jañgal
shaam  ho  jaa.e  to  bastī  hī  kā  rasta  achchhā
raat  bhar  rahtā  hai  zaḳhmoñ  se  charāġhāñ  dil  meñ
raftagāñ  tum  ne  lagā  rakkhā  hai  mela  achchhā
jā  ke  ham  dekh  chuke  band  hai  darvāza-e-shahr
ek  raat  aur  ye  rukne  kā  bahāna  achchhā