darvāzoñ  par  din  bhar  kī  thakan  tahrīr  huī
mire  shahr  kī  shab  har  chaukhaT  kī  zanjīr  huī
sab  dhuup  utar  ga.ī  TuuTī  huī  dīvāroñ  se
magar  ek  kiran  mere  ḳhvāboñ  meñ  asiir  huī
mirā  suunā  ghar  mire  siine  se  lag  kar  rotā  hai
mire  bhaa.ī  tumheñ  is  baar  bahut  tāḳhīr  huī
hameñ  rañj  bahut  thā  dasht  kī  be-imkānī  kā
lo  ġhaib  se  phir  ik  shakl  zuhūr-pazīr  huī
koī  hairat  mere  lahje  kī  pahchān  banī
koī  chāhat  mere  lafzoñ  kī  tāsīr  huī
is  dard  ke  qātil-manzar  ko  ilzām  na  do
ye  to  dekhne  vaalī  āñkhoñ  kī  taqsīr  huī
kisī  lashkar  se  kahīñ  bahtā  paanī  ruktā  hai
kabhī  jū-e-ravāñ  kisī  zālim  kī  jāgīr  huī
phir  lauh  pe  luTne  vaale  ḳhazāne  likhe  ga.e
mujhe  ab  ke  baras  bhī  daulat-e-jāñ  taqdīr  huī