badan  meñ  jaise  lahū  tāziyāna  ho  gayā  hai
use  gale  se  lagā.e  zamāna  ho  gayā  hai
chamak  rahā  hai  ufuq  tak  ġhubār-e-tīra-shbī
koī  charāġh  safar  par  ravāna  ho  gayā  hai
hameñ  to  ḳhair  bikharnā  hī  thā  kabhī  na  kabhī
havā-e-tāza  kā  jhoñkā  bahāna  ho  gayā  hai
ġharaz  ki  pūchhte  kyā  ho  ma.āl-e-soḳhtagāñ
tamām  jalnā  jalānā  fasāna  ho  gayā  hai
fazā-e-shauq  meñ  us  kī  bisāt  hī  kyā  thī
parind  apne  paroñ  kā  nishāna  ho  gayā  hai
kisī  ne  dekhe  haiñ  patjhaḌ  meñ  phuul  khilte  hue
dil  apnī  ḳhush-nazarī  meñ  divāna  ho  gayā  hai