nāchīz  bhī  ḳhūbāñ  se  mulāqāt  meñ  gum  hai
majzūb  zarā  sair-e-maqāmāt  meñ  gum  hai
kyā  sham.a  jalātā  hai  ki  ai  daulat-e-shab-e-tāb
kal  sub.h  kā  sūraj  to  tirī  gaat  meñ  gum  hai
khulte  hī  nahīñ  lams  pe  us  jism  ke  asrār
sayyāh  ajab  shahr-e-tilismāt  meñ  gum  hai
maiñ  Duub  gayā  jab  tire  paikar  meñ  to  TuuTā
ye  vahm  ki  tū  ḳhud  hī  mirī  zaat  meñ  gum  hai
yā  husn  hī  is  shahr  meñ  kāfir  nahīñ  hotā
yā  ishq  yahāñ  izzat-e-sādāt  meñ  gum  hai