hushyār  haiñ  to  ham  ko  bahak  jaanā  chāhiye
be-samt  rāsta  hai  bhaTak  jaanā  chāhiye
dekho  kahīñ  piyāle  meñ  koī  kamī  na  ho
labrez  ho  chukā  to  chhalak  jaanā  chāhiye
harf-e-rajaz  se  yuuñ  nahīñ  hotā  koī  kamāl
bātin  tak  is  sadā  kī  dhamak  jaanā  chāhiye
girtā  nahīñ  masāf  meñ  bismil  kisī  tarah
ab  dast-e-neza-kār  ko  thak  jaanā  chāhiye
tai  ho  chuke  sab  ābla-pā.ī  ke  marhale
ab  ye  zamīñ  gulāboñ  se  Dhak  jaanā  chāhiye
shāyad  pas-e-ġhubār  tamāshā  dikhā.ī  de
is  rah-guzar  pe  duur  talak  jaanā  chāhiye