is  takalluf  se  na  poshāk-e-badan-gīr  meñ  aa
ḳhvāb  kī  tarah  kabhī  ḳhvāb  kī  ta.abīr  meñ  aa
maiñ  bhī  ai  surḳhi-e-be-nām  tujhe  pahchānūñ
tū  hinā  hai  ki  lahū  paikar-e-tasvīr  meñ  aa
is  ke  halqe  meñ  tag-o-tāz  kī  vus.at  hai  bahut
āhū-e-shahar,  mirī  bāñhoñ  kī  zanjīr  meñ  aa
chāra-gar  ḳhair  se  ḳhush-zauq  hai  ai  merī  ġhazal
kaam  ab  tū  hī  mire  dard  kī  tash.hīr  meñ  aa
vo  bhī  āmāda  bahut  din  se  hai  sunñe  ke  liye
ab  to  ai  harf-e-talab  ma.ariz-e-taqrīr  meñ  aa
ek  rañg  āḳhirī  manzar  kī  dhanak  meñ  kam  hai
mauj-e-ḳhūñ  uTh  ke  zarā  arsa-e-shamshīr  meñ  aa