faqīrī  meñ  ye  thoḌī  sī  tan-āsānī  bhī  karte  haiñ
ki  ham  dast-e-karam  duniyā  pe  arzānī  bhī  karte  haiñ
dar-e-rūhāniyāñ  kī  chākarī  bhī  kaam  hai  apnā
butoñ  kī  mamlikat  meñ  kār-e-sultānī  bhī  karte  haiñ
junūñ  vāloñ  kī  ye  shā.istagī  turfa-tamāshā  hai
rafū  bhī  chāhte  haiñ  chāk-dāmānī  bhī  karte  haiñ
mujhe  kuchh  shauq-e-nazzāra  bhī  hai  phūloñ  ke  chehroñ  kā
magar  kuchh  phuul  chehre  merī  nigrānī  bhī  karte  haiñ
jo  sach  pūchho  to  zabt-e-ārzū  se  kuchh  nahīñ  hotā
parinde  mere  siine  meñ  pur-afshānī  bhī  karte  haiñ
hamāre  dil  ko  ik  āzār  hai  aisā  nahīñ  lagtā
ki  ham  daftar  bhī  jaate  haiñ  ġhazal-ḳhvānī  bhī  karte  haiñ
bahut  nauhagarī  karte  haiñ  dil  ke  TuuT  jaane  kī
kabhī  aap  apnī  chīzoñ  kī  nigahbānī  bhī  karte  haiñ