jaañ  se  guzre  bhī  to  dariyā  se  guzāreñge  tumheñ
saath  mat  chhoḌnā  ham  paar  utāreñge  tumheñ
tum  suno  yā  na  suno  haath  baḌhāo  na  baḌhāo
Dūbte  Dūbte  ik  baar  pukāreñge  tumheñ
dil  pe  aatā  hī  nahīñ  fasl-e-tarab  meñ  koī  phuul
jaan,  is  shāḳh-e-shajar  par  to  na  vāreñge  tumheñ
khel  ye  hai  ki  kise  kaun  sivā  chāhtā  hai
jiit  jāoge  to  jaañ  nazr  guzāreñge  tumheñ
kaisī  zebā.ī  hai  jab  se  tumheñ  chāhā  ham  ne
aur  chāheñge  tumheñ  aur  sanvāreñge  tumheñ
ishq  meñ  ham  koī  da.avā  nahīñ  karte  lekin
kam  se  kam  mārka-e-jāñ  meñ  na  hāreñge  tumheñ