ajiib  nashsha  hai  hoshyār  rahnā  chāhtā  huñ
maiñ  us  ke  ḳhvāb  meñ  bedār  rahnā  chāhtā  huñ
ye  mauj-e-tāza  mirī  tishnagī  kā  vahm  sahī
maiñ  is  sarāb  meñ  sarshār  rahnā  chāhtā  huñ
siyāh  chashm  mirī  vahshatoñ  pe  tanz  na  kar
maiñ  qātiloñ  se  ḳhabar-dār  rahnā  chāhtā  huñ
ye  dard  hī  mirā  chāra  hai  tum  ko  kyā  ma.alūm
haTāo  haath  maiñ  bīmār  rahnā  chāhtā  huñ
idhar  bhī  aa.egī  shāyad  vo  shāh-bānu-e-shahr
ye  soch  kar  sar-e-bāzār  rahnā  chāhtā  huñ
havā  gulāb  ko  chhū  kar  guzartī  rahtī  hai
so  maiñ  bhī  itnā  gunahgār  rahnā  chāhtā  huñ