pukārtā  hai  magar  dhyān  meñ  nahīñ  aatā
ajiib  harf  hai  imkān  meñ  nahīñ  aatā
bas  ek  naam  hai  apnā  nishāñ  jo  yaad  nahīñ
aur  ek  chehra  jo  pahchān  meñ  nahīñ  aatā
maiñ  gosha-gīr  huñ  sadiyoñ  se  apne  hujre  meñ
masāf-e-bai.at-o-paimān  meñ  nahīñ  aatā
mujhe  bhī  hukm  nahīñ  shahr  se  nikalne  kā
mirā  harīf  bhī  maidān  meñ  nahīñ  aatā
maiñ  is  hujūm  meñ  kyuuñ  is  qadar  akelā  huñ
ki  jam.a  ho  ke  bhī  mīzān  meñ  nahīñ  aatā
mire  ḳhudā  mujhe  is  aag  se  nikāl  ki  tū
samajh  meñ  aatā  hai  īqān  meñ  nahīñ  aatā