jab  ye  aalam  ho  to  likhiye  lab-o-ruḳhsār  pe  ḳhaak
uḌtī  hai  ḳhāna-e-dil  ke  dar-o-dīvār  pe  ḳhaak
tū  ne  miTTī  se  ulajhne  kā  natīja  dekhā
Daal  dī  mere  badan  ne  tirī  talvār  pe  ḳhaak
ham  ne  muddat  se  ulaT  rakkhā  hai  kaasa  apnā
dast-e-dādār  tire  dirham-o-dīnār  pe  ḳhaak
putliyāñ  garmī-e-nazzāra  se  jal  jaatī  haiñ
aañkh  kī  ḳhair  miyāñ  raunaq-e-bāzār  pe  ḳhaak
jo  kisī  aur  ne  likkhā  hai  use  kyā  ma.alūm
lauh-e-taqdīr  bajā  chehra-e-aḳhbār  pe  ḳhaak
chaar  dīvār-e-anāsir  kī  haqīqat  kitnī
ye  bhī  ghar  Duub  gayā  dīda-e-ḳhūñ-bār  pe  ḳhaak
pā-e-vahshat  ne  ajab  naqsh  banā.e  the  yahāñ
ai  havā-e-sar-e-sahrā  tirī  raftār  pe  ḳhaak
ye  ġhazal  likh  ke  harīfoñ  pe  uḌā  dī  maiñ  ne
jam  rahī  thī  mire  ā.īna-e-ash.ār  pe  ḳhaak
ye  bhī  dekho  ki  kahāñ  kaun  bulātā  hai  tumheñ
mahzar-e-shauq  paḌho  mahzar-e-sarkār  pe  ḳhaak
aap  kyā  naqd-e-do-ālam  se  ḳharīdeñge  ise
ye  to  dīvāne  kā  sar  hai  sar-e-pindār  pe  ḳhaak