be-ḳhudī  meñ  pahlū-e-iqrār  pahle  to  na  thā
itnā  ġhāfil  vo  but-e-ayyār  pahle  to  na  thā
ahl-e-dil  jaate  haiñ  ab  dār-o-rasan  kī  raah  se
is  qadar  mushkil  visāl-e-yār  pahle  to  na  thā
misr  kī  galiyāñ  utar  aa.ī  haiñ  apne  shahr  meñ
husn  vāloñ  kā  ye  hāl-e-zār  pahle  to  na  thā
aa  rahī  hai  ḳhud-baḳhud  shāyad  koī  manzil  qarīb
mehrbāñ  yuuñ  qāfila-sālār  pahle  to  na  thā
us  meñ  bhī  kuchh  raaz  hai  varna  dayār-e-husn  meñ
dard-mandoñ  kā  koī  ġham-ḳhvār  pahle  to  na  thā
hosh  meñ  aane  lage  haiñ  un  bahāroñ  ke  tufail
varna  dīvānoñ  kā  ye  kirdār  pahle  to  na  thā
roz-o-shab  apne  liye  haiñ  qatl  ke  fatve  'qatīl'
muftī-e-shahr  is  qadar  dīn-dār  pahle  to  na  thā