badan  ke  donoñ  kināroñ  se  jal  rahā  huuñ  maiñ
ki  chhū  rahā  huuñ  tujhe  aur  pighal  rahā  huuñ  maiñ
tujhī  pe  ḳhatm  hai  jānāñ  mire  zavāl  kī  raat
tū  ab  tulū  bhī  ho  jā  ki  Dhal  rahā  huuñ  maiñ
bulā  rahā  hai  mirā  jāma-zeb  milne  ko
to  aaj  pairahan-e-jāñ  badal  rahā  huuñ  maiñ
ġhubār-e-rāhguzar  kā  ye  hausla  bhī  to  dekh
havā-e-tāza  tire  saath  chal  rahā  huuñ  maiñ
maiñ  ḳhvāb  dekh  rahā  huuñ  ki  vo  pukārtā  hai
aur  apne  jism  se  bāhar  nikal  rahā  huuñ  maiñ