haq  fat.h-yāb  mere  ḳhudā  kyuuñ  nahīñ  huā
tū  ne  kahā  thā  terā  kahā  kyuuñ  nahīñ  huā
jab  hashr  isī  zamīñ  pe  uThā.e  ga.e  to  phir
barpā  yahīñ  pe  roz-e-jazā  kyuuñ  nahīñ  huā
vo  sham.a  bujh  ga.ī  thī  to  kohrām  thā  tamām
dil  bujh  ga.e  to  shor-e-azā  kyuuñ  nahīñ  huā
vāmāñdgāñ  pe  tañg  huī  kyuuñ  tirī  zamīñ
darvāza  āsmān  kā  vā  kyuuñ  nahīñ  huā
vo  sho.ala-sāz  bhī  isī  bastī  ke  log  the
un  kī  galī  meñ  raqs-e-havā  kyuuñ  nahīñ  huā
āḳhir  isī  ḳharābe  meñ  zinda  haiñ  aur  sab
yuuñ  ḳhaak  koī  mere  sivā  kyuuñ  nahīñ  huā
kyā  jazb-e-ishq  mujh  se  ziyāda  thā  ġhair  meñ
us  kā  habīb  us  se  judā  kyuuñ  nahīñ  huā
jab  vo  bhī  the  gulū-e-burīda  se  nāla-zan
phir  kushtagāñ  kā  harf  rasā  kyuuñ  nahīñ  huā
kartā  rahā  maiñ  tere  liye  dostoñ  se  jañg
tū  mere  dushmanoñ  se  ḳhafā  kyuuñ  nahīñ  huā
jo  kuchh  huā  vo  kaise  huā  jāntā  huuñ  maiñ
jo  kuchh  nahīñ  huā  vo  batā  kyuuñ  nahīñ  huā