mujhe  bachā  bhī  liyā  chhoḌ  kar  chalā  bhī  gayā
vo  mehrbāñ  pas-e-gard-e-safar  chalā  bhī  gayā
vagarna  tañg  na  thī  ishq  par  ḳhudā  kī  zamīñ
kahā  thā  us  ne  to  maiñ  apne  ghar  chalā  bhī  gayā
koī  yaqīñ  na  kare  maiñ  agar  kisī  ko  batā.ūñ
vo  uñgliyāñ  thiiñ  ki  zaḳhm-e-jigar  chalā  bhī  gayā
mire  badan  se  phir  aa.ī  ga.e  dinoñ  kī  mahak
agarche  mausam-e-barg-o-samar  chalā  bhī  gayā
havā  kī  tarah  na  dekhī  mirī  ḳhizāñ  kī  bahār
khilā  ke  phuul  mirā  ḳhush-nazar  chalā  bhī  gayā
ajiib  raushaniyāñ  thiiñ  visāl  ke  us  paar
maiñ  us  ke  saath  rahā  aur  udhar  chalā  bhī  gayā
kal  us  ne  sair  karā.ī  na.e  jahānoñ  kī
to  rañj-e-nārasī-e-bāl-o-par  chalā  bhī  gayā