badal  ga.ī  hai  fazā  niile  āsmānoñ  kī
bahut  dinoñ  meñ  khulīñ  khiḌkiyāñ  makānoñ  kī
bas  ek  baar  jo  lañgar  uThe  to  phir  kyā  thā
havā.eñ  taak  meñ  thiiñ  jaise  bādbānoñ  kī
koī  pahāḌ  rukā  hai  kabhī  zamīñ  ke  baġhair
har  ek  bojh  panah  chāhtā  hai  shānoñ  kī
to  ġhāliban  vo  hadaf  hī  hadoñ  se  bāhar  thā
ye  kaise  TuuT  ga.iiñ  Doriyāñ  kamānoñ  kī
jo  hai  vo  kal  ke  savāloñ  ke  intizār  meñ  hai
ye  zindagī  hai  ki  hai  raat  imtihānoñ  kī