dhanak  se  phuul  se  barg-e-hinā  se  kuchh  nahīñ  hotā
badan  sahrā  hue  āb-o-havā  se  kuchh  nahīñ  hotā
bahut  kuchh  dosto  bismil  ke  chup  rahne  se  hotā  hai
faqat  us  ḳhanjar-e-dast-e-jafā  se  kuchh  nahīñ  hotā
agar  vus.at  na  diije  vahshat-e-jāñ  ke  ilāqe  ko
to  phir  āzādī-e-zanjīr-e-pā  se  kuchh  nahīñ  hotā
koī  koñpal  nahīñ  is  ret  kī  tah  meñ  to  kyā  nikle
yahāñ  ai  sāda-dil  kaalī  ghaTā  se  kuchh  nahīñ  hotā
azal  se  kuchh  ḳharābī  hai  kamānoñ  kī  samā.at  meñ
parindo  shoḳhī-e-saut-o-sadā  se  kuchh  nahīñ  hotā
chalo  ab  āsmāñ  se  aur  koī  rābta  socheñ
bahut  din  ho  ga.e  harf-e-duā  se  kuchh  nahīñ  hotā