vo  un  dinoñ  to  hamārā  thā  lekin  ab  kyā  hai
phir  us  se  aaj  vahī  ranj-e-be-sabab  kyā  hai
tum  us  kā  vaar  bachāne  kī  fikr  meñ  kyuuñ  ho
vo  jāntā  hai  masīhā.iyoñ  kā  Dhab  kyā  hai
dabīz  kohar  hai  yā  narm  dhuup  kī  chādar
ḳhabar  nahīñ  tire  baad  ai  ġhubār-e-shab  kyā  hai
dikhā  rahā  hai  kise  vaqt  an-ginat  manzar
agar  maiñ  kuchh  bhī  nahīñ  huuñ  to  phir  ye  sab  kyā  hai
ab  is  qadar  bhī  sukūñ  mat  dikhā  bichhaḌte  hue
vo  phir  tujhe  na  kabhī  mil  sake  ajab  kyā  hai
maiñ  apne  chehre  se  kis  tarah  ye  naqāb  uThā.ūñ
samajh  bhī  jā  ki  pas-e-parda-e-tarab  kyā  hai
yahāñ  nahīñ  hai  ye  dastūr-e-guftugū  'irfān'
fuġhāñ  sune  na  koī  harf-e-zer-e-lab  kyā  hai