ishq  miyāñ  is  aag  meñ  merā  zāhir  hī  chamkā  denā
mere  badan  kī  miTTī  ko  zarā  kundan-rañg  banā  denā
aao  tumhārī  nazr  kareñ  ham  ek  charāġh  hikāyat  kā
jab  tak  jaago  raushan  rakhnā  niiñd  aa.e  to  bujhā  denā
biis  ikkīs  baras  pīchhe  hameñ  kab  tak  milte  rahnā  hai
dekho,  ab  kī  baar  milo  to  dil  kī  baat  batā  denā
siine  ke  vīrāne  meñ  ye  ḳhushbū  ek  karāmat  hai
varna  itnā  sahal  nahīñ  thā  raakh  meñ  phuul  khilā  denā
dil  kī  zamīñ  tak  raushniyāñ  thīñ,  chehre  the,  hariyālī  thī
ab  to  jahāñ  bhī  sāhil  paanā  kashtī  ko  Thahrā  denā
maulā,  phir  mire  sahrā  se  bin  barse  bādal  lauT  ga.e
ḳhair,  shikāyat  koī  nahīñ  hai  agle  baras  barsā  denā
ḳhvāja  ḳhizr  suno  ham  kab  se  is  bastī  meñ  bhaTakte  haiñ
tum  ko  agar  taklīf  na  ho  to  jañgal  tak  pahuñchā  denā