mere  hone  meñ  kisī  taur  se  shāmil  ho  jaao
tum  masīhā  nahīñ  hote  ho  to  qātil  ho  jaao
dasht  se  duur  bhī  kyā  rañg  dikhātā  hai  junūñ
dekhnā  hai  to  kisī  shahr  meñ  dāḳhil  ho  jaao
jis  pe  hotā  hī  nahīñ  ḳhūn-e-do-ālam  sābit
baḌh  ke  ik  din  usī  gardan  meñ  hamā.il  ho  jaao
vo  sitamgar  tumheñ  tasḳhīr  kiyā  chāhtā  hai
ḳhaak  ban  jaao  aur  us  shaḳhs  ko  hāsil  ho  jaao
ishq  kyā  kār-e-havas  bhī  koī  āsān  nahīñ
ḳhair  se  pahle  isī  kaam  ke  qābil  ho  jaao
abhī  paikar  hī  jalā  hai  to  ye  aalam  hai  miyāñ
aag  ye  ruuh  meñ  lag  jaa.e  to  kāmil  ho  jaao
maiñ  huuñ  yā  mauj-e-fanā  aur  yahāñ  koī  nahīñ
tum  agar  ho  to  zarā  raah  meñ  haa.il  ho  jaao