Irfan Siddiqi

zer-e-mehrab na baala-e-makan bolti hai

Irfan Siddiqi

Badayun, Uttar pradesh, India

1939-2004
zer-e-mehrāb na bālā-e-makāñ boltī hai
ḳhāmushī aa ke sar-e-ḳhalvat-e-jāñ boltī hai
ye mirā vahm hai yā mujh ko bulāte haiñ vo log
kaan bajte haiñ ki mauj-e-guzarāñ boltī hai
lo sāvāl-e-dahan-e-basta kā aatā hai javāb
tiir sargoshiyāñ karte haiñ kamāñ boltī hai
ek maiñ huuñ ki is āshob-e-navā meñ chup huuñ
varna duniyā mire zaḳhmoñ kī zabāñ boltī hai
hū kā aalam hai giraftāroñ kī ābādī meñ
ham to sunte the ki zanjīr-e-girāñ boltī hai
dard ke baab meñ timsāl-garī hai ḳhāmosh
ban bhī jaatī hai to tasvīr kahāñ boltī hai
Top Urdushayar.com