zer-e-mehrāb  na  bālā-e-makāñ  boltī  hai
ḳhāmushī  aa  ke  sar-e-ḳhalvat-e-jāñ  boltī  hai
ye  mirā  vahm  hai  yā  mujh  ko  bulāte  haiñ  vo  log
kaan  bajte  haiñ  ki  mauj-e-guzarāñ  boltī  hai
lo  sāvāl-e-dahan-e-basta  kā  aatā  hai  javāb
tiir  sargoshiyāñ  karte  haiñ  kamāñ  boltī  hai
ek  maiñ  huuñ  ki  is  āshob-e-navā  meñ  chup  huuñ
varna  duniyā  mire  zaḳhmoñ  kī  zabāñ  boltī  hai
hū  kā  aalam  hai  giraftāroñ  kī  ābādī  meñ
ham  to  sunte  the  ki  zanjīr-e-girāñ  boltī  hai
dard  ke  baab  meñ  timsāl-garī  hai  ḳhāmosh
ban  bhī  jaatī  hai  to  tasvīr  kahāñ  boltī  hai