tum  hameñ  ek  din  dasht  meñ  chhoḌ  kar  chal  diye  the  tumheñ  kyā  ḳhabar  yā  aḳhī
kitne  mausam  lage  haiñ  hamāre  badan  par  nikalne  meñ  ye  bāl-o-par  yā  aḳhī
shab-gazīda  dayāroñ  ke  nāqa-savāroñ  meñ  mahtāb-chehra  tumhārā  na  thā
ḳhaak  meñ  mil  ga.e  raah  takte  hue  sab  ḳhamīda  kamar  bām-o-dar  yā  aḳhī
jañg  kā  faisla  ho  chukā  hai  to  phir  mere  dil  kī  kamīñ-gāh  meñ  kaun  hai
ik  shaqī  kāTtā  hai  tanābeñ  mire  ḳhema-e-ḳhvāb  kī  raat  bhar  yā  aḳhī
ye  bhī  achchhā  huā  tum  is  āshob  se  apne  sarsabz  baazū  bachā  le  ga.e
yuuñ  bhī  kū-e-ziyāñ  meñ  lagānā  hī  thā  ham  ko  apne  lahū  kā  shajar  yā  aḳhī
nahr  is  shahr  kī  bhī  bahut  mehrbāñ  hai  magar  apnā  rahvār  mat  roknā
hijratoñ  ke  muqaddar  meñ  baaqī  nahīñ  ab  koī  qarya-e-mo'tabar  yā  aḳhī
zard  pattoñ  ke  ThanDe  badan  apne  hāthoñ  pe  le  kar  havā  ne  shajar  se  kahā
agle  mausam  meñ  tujh  par  na.e  barg-o-bār  ā.eñge  tab  talak  sabr  kar  yā  aḳhī