suḳhan  meñ  rañg  tumhāre  ḳhayāl  hī  ke  to  haiñ
ye  sab  karishme  havā-e-visāl  hī  ke  to  haiñ
kahā  thā  tum  ne  ki  laatā  hai  kaun  ishq  kī  taab
so  ham  javāb  tumhāre  savāl  hī  ke  to  haiñ
zarā  sī  baat  hai  dil  meñ  agar  bayāñ  ho  jaa.e
tamām  mas.ale  iz.hār-e-hāl  hī  ke  to  haiñ
yahāñ  bhī  us  ke  sivā  aur  kyā  nasīb  hameñ
ḳhutan  meñ  rah  ke  bhī  chashm-e-ġhazāl  hī  ke  to  haiñ
jasārat-e-suḳhan-e-shā.irāñ  se  Darnā  kiyā
ġharīb  mashġhala-e-qīl-o-qāl  hī  ke  to  haiñ
havā  kī  zad  pe  hamārā  safar  hai  kitnī  der
charāġh  ham  kisī  shām-e-zavāl  hī  ke  to  haiñ