donoñ  apne  kaam  ke  māhir  donoñ  baḌe  zahīn
saañp  hamesha  phan  lahrā.e  aur  saperā  biin
gurg  vahāñ  koī  sar  nahīñ  kartā  aahū  par  bandūq
us  bastī  ko  jañgal  kahnā  jañgal  kī  tauhīn
soḳhtagāñ  kī  bazm-e-suḳhan  meñ  sadr-nashīñ  aaseb
chīḳhoñ  ke  sad  ġhazloñ  par  sannāToñ  kī  tahsīn
fitna-e-shab  ne  ḳhatm  kiyā  sab  āñkhoñ  kā  āzār
saare  ḳhvāb  haqīqat  ban  ga.e  saare  vahm  yaqīn
ham  bhī  patthar  tum  bhī  patthar  sab  patthar  Takrāo
ham  bhī  TūTeñ  tum  bhī  TuuTo  sab  TūTeñ  āmīn