sham-e-tanhā  kī  tarah  sub.h  ke  taare  jaise
shahr  meñ  ek  hī  do  hoñge  hamāre  jaise
chhū  gayā  thā  kabhī  is  jism  ko  ik  shola-e-dard
aaj  tak  ḳhaak  se  uḌte  haiñ  sharāre  jaise
hausle  detā  hai  ye  abr-e-gurezāñ  kyā  kyā
zinda  huuñ  dasht  meñ  ham  us  ke  sahāre  jaise
saḳht-jāñ  ham  sā  koī  tum  ne  na  dekhā  hogā
ham  ne  qātil  ka.ī  dekhe  haiñ  tumhāre  jaise
dīdanī  hai  mujhe  siine  se  lagānā  us  kā
apne  shānoñ  se  koī  bojh  utāre  jaise
ab  jo  chamkā  hai  ye  ḳhanjar  to  ḳhayāl  aatā  hai
tujh  ko  dekhā  ho  kabhī  nahr  kināre  jaise
us  kī  āñkheñ  haiñ  ki  ik  Dūbne  vaalā  insāñ
dūsre  Dūbne  vaale  ko  pukāre  jaise