sarāb-e-dasht  tujhe  āzmāne  vaalā  kaun
batā  ye  apne  lahū  meñ  nahāne  vaalā  kaun
savād-e-shām  ye  shahzād-gān-e-sub.h  kahāñ
siyāh  shab  meñ  ye  sūraj  ugāne  vaalā  kaun
ye  regzār  meñ  kis  harf-e-lāzavāl  kī  chhāñv
shajar  ye  dasht-e-ziyāñ  meñ  lagāne  vaalā  kaun
ye  kaun  rāsta  roke  hue  khaḌā  thā  abhī
aur  ab  ye  raah  ke  patthar  haTāne  vaalā  kaun
ye  kaun  hai  ki  jo  tanhā.ī  par  bhī  raazī  hai
ye  qatl-gāh  se  vāpas  na  jaane  vaalā  kaun
badan  ke  nuqra.ī  TukḌe  lahū  kī  ashrafiyāñ
idhar  se  guzrā  hai  aise  ḳhazāne  vaalā  kaun
ye  kis  ke  naam  pe  teġh-e-jafā  nikaltī  huī
ye  kis  ke  ḳheme,  ye  ḳheme  jalāne  vaalā  kaun
ubharte  Dūbte  manzar  meñ  kis  kī  raushaniyāñ
kalām-e-haq  sar-e-neza  sunāne  vaalā  kaun
milī  hai  jaan  to  us  par  nisār  kyuuñ  na  karūñ
tū  ai  badan  mire  raste  meñ  aane  vaalā  kaun