charāġh  dene  lagegā  dhuāñ  na  chhū  lenā
tū  merā  jism  kahīñ  merī  jaañ  na  chhū  lenā
zamīñ  chhuTī  to  bhaTak  jāoge  ḳhalāoñ  meñ
tum  uḌte  uḌte  kahīñ  āsmāñ  na  chhū  lenā
nahīñ  to  barf  sā  paanī  tumheñ  jalā  degā
gilās  lete  hue  uñgliyāñ  na  chhū  lenā
hamāre  lahje  kī  shā.istagī  ke  dhoke  meñ
hamārī  bātoñ  kī  gahrā.iyāñ  na  chhū  lenā
uḌe  to  phir  na  mileñge  rafāqatoñ  ke  parind
shikāyatoñ  se  bharī  Tahniyāñ  na  chhū  lenā
muravvatoñ  ko  mohabbat  na  jānñā  'irfān'
tum  apne  siine  se  nok-e-sināñ  na  chhū  lenā