sukūt-e-ḳhauf  yahāñ  kū-ba-kū  pukārtā  hai
na  us  kī  teġh  na  merā  lahū  pukārtā  hai
maiñ  apnī  khoī  huī  lauh  kī  talāsh  meñ  huuñ
koī  tilism  mujhe  chār-sū  pukārtā  hai
vo  mujh  meñ  bolne  vaalā  to  chup  hai  barsoñ  se
ye  kaun  hai  jo  tire  rū-ba-rū  pukārtā  hai
nidā-e-koh  bahut  khīñchtī  hai  apnī  taraf
mire  hī  lahje  meñ  vo  hīla-jū  pukārtā  hai
hamārā  ahd  hai  be-barg-o-bār  shāḳhoñ  se
agarche  qāfila-e-rañg-o-bū  pukārtā  hai
ki  jaise  maiñ  sar-e-dariyā  ghirā  huuñ  nezoñ  meñ
ki  jaise  ḳhema-e-sahrā  se  tū  pukārtā  hai