Irfan Siddiqi

kash main bhi kabhi yaron ka kaha man sakun

Irfan Siddiqi

Badayun, Uttar pradesh, India

1939-2004
kaash maiñ bhī kabhī yāroñ kā kahā maan sakūñ
aañkh ke jism pe ḳhvāboñ kī ridā taan sakūñ
maiñ samundar huuñ na tū merā shanāvar pyāre
tū bayābāñ hai na maiñ ḳhaak tirī chhān sakūñ
rū-e-dilbar bhī vahī chehra-e-qātil bhī vahī
tū kabhī aañkh milā.e to maiñ pahchān sakūñ
vaqt ye aur hai mujh meñ ye kahāñ taab ki maiñ
yāriyāñ jhel sakūñ dushmaniyāñ Thaan sakūñ
jab sitam hai ye ta.āruf hī to kaisā ho agar
maiñ use jānñe vāloñ kī tarah jaan sakūñ
Top Urdushayar.com