kaash  maiñ  bhī  kabhī  yāroñ  kā  kahā  maan  sakūñ
aañkh  ke  jism  pe  ḳhvāboñ  kī  ridā  taan  sakūñ
maiñ  samundar  huuñ  na  tū  merā  shanāvar  pyāre
tū  bayābāñ  hai  na  maiñ  ḳhaak  tirī  chhān  sakūñ
rū-e-dilbar  bhī  vahī  chehra-e-qātil  bhī  vahī
tū  kabhī  aañkh  milā.e  to  maiñ  pahchān  sakūñ
vaqt  ye  aur  hai  mujh  meñ  ye  kahāñ  taab  ki  maiñ
yāriyāñ  jhel  sakūñ  dushmaniyāñ  Thaan  sakūñ
jab  sitam  hai  ye  ta.āruf  hī  to  kaisā  ho  agar
maiñ  use  jānñe  vāloñ  kī  tarah  jaan  sakūñ