zamīñ  par  shor-e-mahshar  roz  o  shab  hotā  hī  rahtā  hai
ham  apne  giit  gaa.eñ  ye  to  sab  hotā  hī  rahtā  hai
ye  ham  ne  bhī  sunā  hai  ālam-e-asbāb  hai  duniyā
yahāñ  phir  bhī  bahut  kuchh  be-sabab  hotā  hī  rahtā  hai
tirī  ḳhātir  ka.ī  sachchā.iyoñ  se  kaT  ga.e  rishte
mohabbat  meñ  to  ye  tark-e-nasab  hotā  hī  rahtā  hai
musāfir  raat  ko  is  dasht  meñ  bhī  ruk  hī  jaate  haiñ
hamāre  dil  meñ  bhī  jashn-e-tarab  hotā  hī  rahtā  hai
koī  shai  tasht  meñ  ham  sar  se  kam  qīmat  nahīñ  rakhte
so  aksar  ham  se  nazrāna  talab  hotā  hī  rahtā  hai