dar-o-dīvār  kī  zad  se  nikalnā  chāhtā  huuñ  maiñ
havā-e-tāza  tere  saath  chalnā  chāhtā  huuñ  maiñ
vo  kahte  haiñ  ki  āzādī  asīrī  ke  barābar  hai
to  yuuñ  samjho  ki  zanjīreñ  badalnā  chāhtā  huuñ  maiñ
numū  karne  ko  hai  merā  lahū  qātil  ke  siine  se
vo  chashma  huuñ  ki  patthar  se  ubalnā  chāhtā  huuñ  maiñ
buland  o  past  duniyā  faisla  karne  nahīñ  detī
ki  girnā  chāhtā  huuñ  yā  sambhalnā  chāhtā  huuñ  maiñ
mohabbat  meñ  havas  kā  sā  mazā  milnā  kahāñ  mumkin
vo  sirf  ik  raushnī  hai  jis  meñ  jalnā  chāhtā  huuñ  maiñ