Jameel Malik

falak ka har sitara raat ki aankhon ka moti hai

Jameel Malik

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1928-2001

falak har sitārā raat āñkhoñ motī hai

jise shabnam sahar shoḳh kirnoñ meñ pirotī hai

vahī mastī mirī dhaḌkan hai mere dil jotī hai

jo terī nīlgūñ āñkhoñ meñ gahrī niiñd sotī hai

zamīn-e-dard meñ chāhat vafā ke biij botī hai

to kyā kyā jāvedāñ lamhāt taḳhlīq hotī hai

taḌaptī hai mire siine meñ aise aarzū terī

koī jogan ghane jañgal meñ jaise chhup ke rotī hai

ye merī soch har zarre meñ sūraj tamannā.ī

ye dil raushnī ko lamhe lamhe meñ samotī hai

ga.e vaqtoñ pahnā.ī chhalak jaatī hai āñkhoñ se

añdherī raat meñ jab qatra qatra os rotī hai

kahāñ miltī hai vo rāhat na.e yaḳh-basta chehroñ meñ

purāne dostoñ se mil ke jo taskīn hotī hai

Top Urdushayar.com