Jameel Malik

DhunDte phirte hain zaKHmon ka mudawa nikle

Jameel Malik

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1928-2001

DhūñDte phirte haiñ zaḳhmoñ mudāvā nikle

is bhare shahr meñ koī to masīhā nikle

uf ye amboh-e-ravāñ haa.e mirī tanhā.ī

kahīñ rasta nazar aa.e koī tum nikle

chāñd se chehroñ pe pathrā.ī huī zard āñkheñ

koī batlāo ye kis shahr meñ ham aa nikle

pas-e-dīvār khaḌā hai koī tanhā kab se

na nikle tire ghar se tirā saaya nikle

jin pe sau naaz kare anjuman-ārā.ī bhī

ġhaur se dekhā to vo log bhī tanhā nikle

ye sitāroñ ke taḌapte hue sīmīñ paikar

jaane kab raat Dhale nuur dariyā nikle

chāñd sūraj se bhī tārīkī-e-daurāñ na ga.ī

dekhiye parda-e-aḳhlīq se ab kyā nikle

Top Urdushayar.com