Vikas Rana

koi lega nahin badla hamara

Vikas Rana

koī legā nahīñ badlā hamārā
hamīñ ko qatl hai karnā hamārā
nichhāvar jaan bhī hai us pe karnī
abhī tai bhī nahīñ marnā hamārā
hamāre hoñT ke sahrā tumhāre
tumhārī aañkh kā dariyā hamārā
abhī ik sher kahnā rah gayā hai
abhī niklā nahīñ kāñTā hamārā
Top Urdushayar.com