gul  bhī  ḳhush-tal.at  hai  par  ai  maah  tū  kuchh  aur  hai
baas  us  meñ  aur  kuchh  hai  tujh  meñ  bū  kuchh  aur  hai
kahne  sunñe  kā  nahīñ  ye  vaqt  jā  vaa.iz  kahīñ
ālam-e-mastī  meñ  apnī  guftugū  kuchh  aur  hai
hūr-o-ġhilmāñ  kī  havas  kāfir  ho  jis  ko  Tuk  bhī  ho
āshiqoñ  ke  dil  kī  zāhid  aarzū  kuchh  aur  hai
Toktā  to  maiñ  nahīñ  par  in  dinoñ  nām-e-ḳhudā
ḳhuub  chamke  ho  tumhārā  rañg-e-rū  kuchh  aur  hai
tasht-o-ḳhanjar  gardan-o-sar  jam.a  haiñ  mat  der  kar
qasd  gar  dil  meñ  tire  ai  jañg-jū  kuchh  aur  hai