Qateel Shifai

is daur mein taufiq-e-ana di gai mujhko

Qateel Shifai

Hazara, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1919-2001
is daur meñ taufīq-e-anā dī ga.ī mujh ko
kis jurm kī āḳhir ye sazā dī ga.ī mujh ko
maiñ ne jo kiyā fasl-e-bahārāñ kā taqāzā
ik phuul kī tasvīr dikhā dī ga.ī mujh ko
ye kaun mire naam ko dohrā sā rahā hai
shāyad kisī gumbad meñ sadā dī ga.ī mujh ko
vo un kā milānā mujhe ik sāhab-e-zar se
auqāt mirī yaad dilā dī ga.ī mujh ko
pahle to navāzā gayā maiñ ḳhil.at-e-ġham se
phir shahriyat-e-mulk-e-vafā dī ga.ī mujh ko
hairat hai ki is baar buzurgoñ kī taraf se
takmīl-e-mohabbat kī duā dī ga.ī mujh ko
kuchh naama likhe hī the abhī mere qalam ne
kāġhaz kī tarah aag lagā dī ga.ī mujh ko
gum ho gayā mastī meñ taḌapne kā maza bhī
kyā chiiz 'qatīl' aaj pilā dī ga.ī mujh ko
Top Urdushayar.com