is  daur  meñ  taufīq-e-anā  dī  ga.ī  mujh  ko
kis  jurm  kī  āḳhir  ye  sazā  dī  ga.ī  mujh  ko
maiñ  ne  jo  kiyā  fasl-e-bahārāñ  kā  taqāzā
ik  phuul  kī  tasvīr  dikhā  dī  ga.ī  mujh  ko
ye  kaun  mire  naam  ko  dohrā  sā  rahā  hai
shāyad  kisī  gumbad  meñ  sadā  dī  ga.ī  mujh  ko
vo  un  kā  milānā  mujhe  ik  sāhab-e-zar  se
auqāt  mirī  yaad  dilā  dī  ga.ī  mujh  ko
pahle  to  navāzā  gayā  maiñ  ḳhil.at-e-ġham  se
phir  shahriyat-e-mulk-e-vafā  dī  ga.ī  mujh  ko
hairat  hai  ki  is  baar  buzurgoñ  kī  taraf  se
takmīl-e-mohabbat  kī  duā  dī  ga.ī  mujh  ko
kuchh  naama  likhe  hī  the  abhī  mere  qalam  ne
kāġhaz  kī  tarah  aag  lagā  dī  ga.ī  mujh  ko
gum  ho  gayā  mastī  meñ  taḌapne  kā  maza  bhī
kyā  chiiz  'qatīl'  aaj  pilā  dī  ga.ī  mujh  ko