Hamza Daim

jis ne rakkha hai hamesha nafraton ke darmiyan

Hamza Daim

Gujranwala, Punjab, Pakistan

2004
jis ne rakkhā hai hamesha nafratoñ ke darmiyāñ
vo dhaḌaktā phir rahā hai dhaḌkanoñ ke darmiyāñ
zindagī ko ġhaur se dekhā to mujh ko yuuñ lagā
ek tavā.if jis tarah ho manchaloñ ke darmiyāñ
us harīm-e-nāz se shikva kiyā thā ek din
manzileñ bikhrī paḌī haiñ rāstoñ ke darmiyāñ
bebasī sī bebasī hai kyā kaheñ kis se kaheñ
maiñ to pyāsā mar rahā huuñ bādaloñ ke darmiyāñ
nā-rasā.ī kā ye dukh to maar Dālegā mujhe
kasmapursī kā samāñ hai chāhatoñ ke darmiyāñ
'mīr' ke lahje meñ ġhazleñ kah rahā huuñ aaj bhī
naam kuchh kuchh ban rahā hai ġhāliboñ ke darmiyāñ
pyaar ke saare manāzir dhuñdlakoñ meñ Dhal ga.e
kuchh kamī sī rah ga.ī thī rābtoñ ke darmiyāñ
zindagī ke is bhañvar se kaun nikle dekhiye
che-mī-goīyāñ ho rahī haiñ be-basoñ ke darmiyāñ
sar pe chhat na sā.ebāñ haiñ bebasī to dekhiye
kāġhzī ik pairāhan hai bārishoñ ke darmiyāñ
fāḳhta zaitūn kī shāḳhoñ par maarī jā.egī
faisla ye ho chukā hai zālimoñ ke darmiyāñ
dostoñ rahne bhī do jhūTī tasallī kis liye
vaqt achchhā kaT rahā hai mushkiloñ ke darmiyāñ
vo akelā hai aur us ke chāhne vaale bahut
jañg hone jā rahī hai āshiqoñ ke darmiyāñ
dushmanoñ se kah diyā hai fikr merī chhoḌ deñ
maiñ khaḌā huuñ aaj bhī kuchh dostoñ ke darmiyāñ
kis tarah 'dā.em' kaTegā be-yaqīnī kā safar
mashvara ye ho rahā hai qāfiloñ ke darmiyāñ
Top Urdushayar.com