jis  ne  rakkhā  hai  hamesha  nafratoñ  ke  darmiyāñ
vo  dhaḌaktā  phir  rahā  hai  dhaḌkanoñ  ke  darmiyāñ
zindagī  ko  ġhaur  se  dekhā  to  mujh  ko  yuuñ  lagā
ek  tavā.if  jis  tarah  ho  manchaloñ  ke  darmiyāñ
us  harīm-e-nāz  se  shikva  kiyā  thā  ek  din
manzileñ  bikhrī  paḌī  haiñ  rāstoñ  ke  darmiyāñ
bebasī  sī  bebasī  hai  kyā  kaheñ  kis  se  kaheñ
maiñ  to  pyāsā  mar  rahā  huuñ  bādaloñ  ke  darmiyāñ
nā-rasā.ī  kā  ye  dukh  to  maar  Dālegā  mujhe
kasmapursī  kā  samāñ  hai  chāhatoñ  ke  darmiyāñ
'mīr'  ke  lahje  meñ  ġhazleñ  kah  rahā  huuñ  aaj  bhī
naam  kuchh  kuchh  ban  rahā  hai  ġhāliboñ  ke  darmiyāñ
pyaar  ke  saare  manāzir  dhuñdlakoñ  meñ  Dhal  ga.e
kuchh  kamī  sī  rah  ga.ī  thī  rābtoñ  ke  darmiyāñ
zindagī  ke  is  bhañvar  se  kaun  nikle  dekhiye
che-mī-goīyāñ  ho  rahī  haiñ  be-basoñ  ke  darmiyāñ
sar  pe  chhat  na  sā.ebāñ  haiñ  bebasī  to  dekhiye
kāġhzī  ik  pairāhan  hai  bārishoñ  ke  darmiyāñ
fāḳhta  zaitūn  kī  shāḳhoñ  par  maarī  jā.egī
faisla  ye  ho  chukā  hai  zālimoñ  ke  darmiyāñ
dostoñ  rahne  bhī  do  jhūTī  tasallī  kis  liye
vaqt  achchhā  kaT  rahā  hai  mushkiloñ  ke  darmiyāñ
vo  akelā  hai  aur  us  ke  chāhne  vaale  bahut
jañg  hone  jā  rahī  hai  āshiqoñ  ke  darmiyāñ
dushmanoñ  se  kah  diyā  hai  fikr  merī  chhoḌ  deñ
maiñ  khaḌā  huuñ  aaj  bhī  kuchh  dostoñ  ke  darmiyāñ
kis  tarah  'dā.em'  kaTegā  be-yaqīnī  kā  safar
mashvara  ye  ho  rahā  hai  qāfiloñ  ke  darmiyāñ