jurm  ulfat  kī  mujhe  ḳhuub  sazā  detā  hai
ḳhat  ko  paḌhtā  bhī  nahīñ  aur  jalā  detā  hai
TuuT  jaate  haiñ  sabhī  ā.ina-ḳhāne  mere
jab  taḳhayyul  tirī  tasvīr  banā  detā  hai
mere  hākim  ko  bahut  bār-e-garāñ  guzregā
koī  zālim  hai  jo  zanjīr  hilā  detā  hai
us  ke  aane  kī  mujhe  jhūTī  tasallī  mat  do
ye  dilāsa  to  mirā  dard  baḌhā  detā  hai
mere  ahbāb  ko  kuchh  sochnā  hogā  'dā.em'
merā  dushman  mujhe  jiine  kī  duā  detā  hai