kab  mirī  baat  tū  maanā  hai  dil
us  kā  āshiq  to  zamāna  hai  dil
yuuñ  use  dekh  rahā  hai  kab  se
kyā  tujhe  jaan  se  jaanā  hai  dil
raat  pahlū  meñ  tire  guzregī
ḳhvāb  to  sirf  bahāna  hai  dil
karnā  kuchh  ġham  ki  yahī  duniyā  hai
isī  kā  naam  zamāna  hai  dil
ab  muqaddar  meñ  bhī  qismat  meñ  bhī
sirf  aañsū  hī  bahānā  hai  dil
vo  tire  paas  hī  to  hai  'dā.em'
ab  batā  de  tū  batānā  hai  dil