jab  bhī  dekhā  hai  bajā  dekhā  hai
aa.ina  ḳhaak  huā  dekhā  hai
ye  mirī  aañkh  nahīñ  fitna  hai
us  ne  har  shaḳhs  ḳhudā  dekhā  hai
baat  karte  ho  ravānī  kī  tum
maiñ  ne  dariyā  ko  rukā  dekhā  hai
jaane  kitne  hī  zamāne  guzre
maiñ  ne  har  roz  nayā  dekhā  hai
zahr  ko  zabt  kiye  baiThā  huuñ
yuuñ  to  har  dasht  harā  dekhā  hai
raat  bhar  niiñd  nahīñ  aatī  mujhe
maiñ  ne  insān  marā  dekhā  hai
maiñ  ne  īmān  kī  ḳhātir  'dā.em'
sar  ko  neze  pe  chaḌhā  dekhā  hai