zindagī  hai  ki  har  ik  gaam  nigūñ-sar  hai  abhī
zehn  ghaTte  hue  ehsās  kā  mehvar  hai  abhī
chhūT  kar  jā.ūñ  kahāñ  maiñ  ki  huuñ  ḳhud  meñ  hī  asiir
jaane  kis  dard  kā  aaseb  mire  sar  hai  abhī
zalzala  ban  ke  miTā  degī  kisī  roz  mujhe
haa.e  vo  shai  ki  jo  muzmar  mire  andar  hai  abhī
na  koī  aks  na  chehra  hai  na  paikar  koī
duur  tak  dhuñd  meñ  lipTā  huā  manzar  hai  abhī
hādse  gher  na  leñ  phir  sar-e-bāzār  mujhe
mere  siine  meñ  vahī  shor  samundar  hai  abhī