jo  nazar  aatā  thā  bāhar  se  vo  kab  andar  se  thā
us  ke  jiine  kā  salīqa  us  ke  pas-manzar  se  thā
shaam  hote  hī  udāsī  gher  letī  thī  use
rābta  us  kā  kahīñ  kyā  Dūbte  manzar  se  thā
quvvat-e-parvāz  pā  kar  bhī  kahāñ  jaatā  parind
us  ke  uḌne  kā  ta.alluq  kuchh  to  mere  ghar  se  thā
fard  thā  jis  ghar  kā  us  ne  bhī  na  pahchānā  use
marne  vaale  shaḳhs  kā  nām-o-nasab  to  sar  se  thā
guzre  lamhoñ  kī  sadā.eñ  der  tak  aatī  rahīñ
kuchh  to  rishta  jaane  vāloñ  kā  ujaḌte  ghar  se  thā