na  koī  aks  na  āvāz  na  chehrā  hogā
duur  tak  ek  jhulastā  huā  sahrā  hogā
kuchh  to  aatā  hai  nazar  din  meñ  dhuñdalkā  hī  sahī
shaam  Dhalte  hī  dhuāñ  aur  bhī  gahrā  hogā
muntazir  kis  liye  ab  tak  haiñ  charāġhoñ  kī  laveñ
vo  musāfir  thā  kahīñ  aur  baserā  hogā
ye  ujaḌte  hue  jañgal  ye  ġhubār  aur  ye  pyaas
log  kahte  haiñ  kisī  din  yahāñ  sahrā  hogā
maan  bhī  jaao  ki  sar  par  hai  kaḌī  dhuup  abhī
Dūbtī  shaam  kā  har  rañg  sunahrā  hogā