ziist  be-barg-o-samar  ho  jaise
koī  barbād  shajar  ho  jaise
Duub  jaatā  hai  har  ik  manzar-e-ḳhvāb
terī  āñkhoñ  meñ  bhañvar  ho  jaise
koī  do  pal  bhī  Thahartā  hī  nahīñ
dil  ki  ujḌā  huā  ghar  ho  jaise
yuuñ  ḳhalāoñ  meñ  takā  karte  haiñ
duur  tak  rāhguzar  ho  jaise
zindagī  hai  ki  ufuq-tā-ba-ufuq
ik  ghanī  chup  kā  safar  ho  jaise