paas  jis  ke  na  thā  kuchh  raḳht-e-safar  maiñ  hī  thā
raat  ke  dasht  meñ  be-ḳhauf-o-ḳhatar  maiñ  hī  thā
duur  tak  dā.era-dar-dā.era  ġharqāb  huā
sīna-e-shab  meñ  siyāhī  kā  bhañvar  maiñ  hī  thā
baar  se  aaj  har  ik  shāḳh  jhukī  jaatī  hai
yā  chaman  meñ  kabhī  be-barg-o-samar  maiñ  hī  thā
mere  atrāf  sadāoñ  kā  ghanā  jañgal  thā
tez  āñdhī  meñ  bikharne  ko  magar  maiñ  hī  thā
jaane  vo  kaun  thā  maiñ  DhūñD  rahā  thā  jis  ko
jo  mire  sāmne  aayā  thā  agar  maiñ  hī  thā